ISHQ SAMUNDAR

A Special Presntation, I dedicated to my Love....So can U..

 

ibtidaa-e-ishq hai rotaa hai kyaa

ibtidaa-e-ishq hai rotaa hai kyaa
aage aage dekhiye hotaa hai kyaa

[ibtidaa-e-ishq = beginning of love]

qaafile me.n subah ke ik shor hai
yaani Gaafil ham chale sotaa hai kyaa

[qaafilaa=caravan; Gaafil=one who is careless/ignorant]

sabz hotii hii nahii.n ye sar_zamii.n
tuKhm-e-Khvaahish dil me.n tuu botaa hai kyaa

[tuKhm-e-Khvaahish=seeds of desire]

ye nishaan-e-ishq hai.n jaate nahii.n
daaG chhaatii ke abas dhotaa hai kyaa

Gairat-e-yusuf hai ye vaqt-e-aziiz
'Meer' is ko raayegaa.N khotaa hai kyaa

[Gairat-e-yusuf=Yusuf's honour; aziiz=dear]
 

ilaahii kaash Gam-e-ishq kaam kar jaaye

ilaahii kaash Gam-e-ishq kaam kar jaaye 
jo kal guzaranii hai mujh pe abhii guzar jaaye 

tamaam umr rahe ham to Khair kaa.NTo.n me.n 
Khudaa kare teraa daaman gulo.n se bhar jaaye 

zamaanaa ahal-e-Khirad se to ho chukaa maayuus 
ajab nahii.n ko_ii diivaanaakaam kar jaaye 

hamaaraa hashr jo kuchh huaa, huaa lekin 
duaa ye hai ki terii aaqabat sa.Nvar jaaye 

nigaah-e-shauq vahii hai nigaah-e-shauq "Shamim" 
jo ek baar ruKh-e-yaar par Thahar jaaye 

is ishq ke haatho.n se har-giz naamaafar dekhaa 
Jigar Moradabadi

 

 

is ishq ke haatho.n se har-giz naamaafar dekhaa
utanii hii ba.Dii hasarat jitanaa hi udhar dekhaa

thaa baa_is-e-rusavaa_ii har cha.nd junuu.N meraa
ki unako bhii na chain aayaa jab tak na idhar dekhaa

yuu.N hii dil ke ta.Dapane kaa kuchh to hai sabab aaKhir
yaa.N dard ne karavaT lii hai yaa.N tumane idhar dekhaa

maathe pe pasiinaa kyo.n aa.Nkho.n me.n namii sii kyo.n
kuchh Khair to hai tumane kyaa haal-e-jigar dekhaa

 

is shahar-e-Kharaabii me.n Gam-e-ishq ke maare

 
is shahar-e-Kharaabii me.n Gam-e-ishq ke maare
zindaa hai.n yahii baat ba.Dii baat hai pyaare

ye ha.Nsataa huaa chaa.Nd ye pur_nuur sitaare
taabindaa-o-paa_indaa hai.n zarro.n ke sahaare

[taabindaa-o-paa_indaa = burning bright and eternally]

hasarat hai ko_ii Gunchaa hame.n pyaar se dekhe
aramaa.N hai ko_ii phuul hame.n dil se pukaare

har subah merii subah pe rotii rahii shabanam
har raat merii raat pe ha.Nsate rahe taare

kuchh aur bhii hai.n kaam hame.n ai Gam-e-jaanaa.N
kab tak ko_ii ulajhii hu_ii zulfo.n ko sa.Nvaare
 
 
 
ishq fanaa kaa naam hai ishq me.n zindagii na dekh 
ishq fanaa kaa naam hai ishq me.n zindagii na dekh 
jalvaaa-e-aaftaab ban zarre me.n roshanii na dekh 

shauq ko rah_numaa banaa jo ho chukaa kabhii na dekh 
aag dabii hu_ii nikaal aag bujhii hu_ii na dekh 

tujh ko Khudaa kaa vaastaa tuu merii zindagii na dekh 
jis kii sahar bhii shaam ho us kii siyaah shavii na dekh 

ishq kaa jaaduu 
meraa tamaam fan merii kaavish meraa riyaaz 
ik naa-tamaam giit ke misare hai.n jin ke biich 
maanii kaa rabt hai na kisii kaafiye kaa mel 
anjaam jis kaa tay na huaa ho ik aisaa khel 
merii mataa bas yahii jaduu hai ishq kaa 
siikhaa hai jis ko mai.n ne ba.Dii mushkilo.n ke saath 
lekin ye saahir-e-ishq kaa tohfaa ajiib hai 
khulataa nahii.n hai kuchh ke haqiiqat me.n kyaa hai ye 
taqadiir kii ataa hai yaa ko_ii sazaa hai ye 
kis se kahe.n ai jaa.N ke ye qissaa ajiib hai 
kahane ko yuu.N to ishq kaa jaduu hai mere paas 
par mere dil  ke vaaste itanaa hai is kaa bojh 
siine se ik pahaa.D-saa haTataa nahii.n hai ye 
lekin asar ke baab me.n halkaa hai is qadar 
tujh pe agar chalaauu.N to chalataa nahii.n hai ye

 
ishq ke shole ko bha.Dakaao ke kuchh raat kaTe 
Makhdoom Moinuddin

 

 

ishq ke shole ko bha.Dakaao ke kuchh raat kaTe
dil ke a.ngaar ko dahakaao ke kuchh raat kaTe

hijr me.n milane shab-e-maah ke Gam aaye hai.n
chaaraasaazo.n ko bhii bulavaao ke kuchh raat kaTe

chashm-o-ruKhsar ke azagaar ko jaarii rakho
pyaar ke naGme ko doharaao ke kuchh raat kaTe

koh-e-Gam aur garaa.N aur garaa.N aur garaa.N
Gamzaa-o-tesh ko chamakaao ke kuchh raat kaTe

Todays Poll!
 
Username:
Password:
About Me!
 
I m an Electronics and Communication engineering student
from DBEC.. Chandigarh

Hometown: Srinagar
State: J&k
Country: India
Phone # 00919876777985
E-mail:owaissrf@yahoo.co.in

Quote of the Day
 
Before God we are all equally wise - and equally foolish.
Albert Einstein
 
Today, there have been 11 visitors (259 hits) on this page!
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free